Yeh Safar Pyaar Ka
Ek aarzu hai humari zara sunle,
Pyaar ki baat hai , dil aur dadkan ko kahiye.
Aaj hai voh din aya,
Aaj voh waqt hai tham gaya.
Aaj ishq parwan chadha hai,
Dil ka izhaar dil se hua hai.
voh chupte - chupte aapko dekhna,
Aapke samne aane se saansein rukh jana,
Door hokar bhi aapke pass hona,
Har pal aapke bare main sochna.
Aaj khatam hone waala hai yeh safar,
Kuch khatti-mitthi yaadon ke saath
Aaj shuru hone wala hai naya safar,
Humara aapke saath.
Yeh safar hai chahato ka ,
Yeh safar hai pyaar ka.